Allama Iqbal love shayari in english
Allama Iqbal is a greate poet and his poetry is a full of deep thoughts likle a life, love, and patriotism. It includes emotional and inspiring shayari with deep meaning, heartfelt ghazals, and powerful verses that touch the human soul. His timeless words are perfect for human expressing feelings and can be easily copied and shared eny social media plateforms like WhatsApp, Facebook, Instagram and other . Whether yous emotions sad, motivated, or reflective, Iqbal’s poetry helps you connect with your emotions and share them in a meaningful way.

Khudi ko kar buland itna ke har taqdeer se pehle
Khuda bande se khud poochhe, bata teri raza kya hai
Tu shaheen hai, parwaaz hai kaam tera
Tere samne aasman aur bhi hain
Nahi tera nasheman qasr-e-sultani ke gumbad par
Tu shaheen hai, basera kar pahaadon ki chatanon m
Sitaron se aage jahan aur bhi hain
Abhi ishq ke imtihaan aur bhi hain
Ae tair-e-lahooti us rizq se maut achi
Jis rizq se aati ho parwaaz mein koutaahi
Amal se zindagi banti hai jannat bhi, jahannam bhi
Yeh khaaki apni fitrat mein na noori hai na naari hai
Wujood-e-zan se hai tasveer-e-kainaat mein rang
Isi ke saaz se hai zindagi ka soz-e-darun
Tere ishq ki inteha chahta hoon
Meri saadgi dekh, kya chahta hoon
Mazhab nahi sikhata aapas mein bair rakhna
Hindi hain hum, watan hai Hindustan hamara
Uqaabi rooh jab bedaar hoti hai jawanon mein
Nazar aati hai unko apni manzil aasmanon mein
Acha hai dil ke saath rahe paasban-e-aqal
Lekin kabhi kabhi ise tanha bhi chhod de
Be-khatar kood pada aatish-e-Namrood mein ishq
Aqal hai mehv-e-tamasha-e-lab-e-baam abhi
Jis khet se dehqaan ko mayassar nahi rozi
Us khet ke har khosha-e-gandum ko jala do
read more… love shayari in english